Sunday 19 February 2017

Hindi Dard & Bewafa Shayari in English fonts

Bewafa Shayari, Aisa Bhi Mod Ayega


Socha na tha zindagi me ek aisa bhi mod ayega,
Jab teri zindagi me hamara koi mukaam na reh jayega,
Kal tak jiski mohabbat ka dam bharte the,
Aaj uski mohabbat par koi aur hak jatayega.

Na jaane kyun zindagi is mod par aa gayi hai,
Meri mohabbat kisi aur ki baahon me soyi hai,
Jiski yaad me hamara har pal guzarta hai,
Wo kisi aur ki yaado me khoyi hai.

Samajh nahi ata kis gunah ki saza khuda de raha hai,
Hamari jaan humse chheen kar hume jeene ka hukm de raha hai,
Jiske bina pal bhar ko jeena mumkin nahi,
Uske bina puri zindagi jeene ki saza de raha hai.

Ae khuda na tadpa tu is kadar mujhko,
Ki jab tere paas aaye to sharam aa jaye khud tujhko,
Uske bina jeena mumkin nahi mere liye,
Chaahe jo chheen le mujhse bas mera pyaar de de mujhko.

Dard Shayari, Socha Na Tha

Mohabbat humse yun rusva ho jayegi socha na tha,
Meri jaan mmujhse juda ho jayegi jaana na tha,
Saath jeene marne ka waada kar ke,
Yun beech safar me saath chhod jaayegi andaza na tha.

Uski bhi koi to mazburi thi jo humari mohabbat ko thukra diya,
Wo bhi to tadpi hogi jab khud ko mujhse juda kiya,
Usko bhi betanha mohabbat thi humse,
Yakeen hai uski bhi aankhe nam thi jab humko umar bhar ka dard diya.

Na jaane wo kaise ji rahi hogi mujhse juda ho kar,
Mari jaan bhi tadap rahi hogi apni jaan se bhichadkar,
Jab uske aansu rukte nahi hoge,
Shayad chhupa rahi hogi apna gham yun hi muskura kar.

No comments:

Post a Comment